RAIN SPLASHES AND THE ARMS OF LOVE

Yah kahani Hai do insanon Ke Pyar Ki Pyar Ka vah khaufnak manjar Jo kisi bhi Insan ko bhaybhit kar sakta hai 
Kahani shuru hoti hai Purvanchal Uttar Pradesh ke Ek bhukhand Se Jahan per rapti Nadi Ke tat per apni alag Gaurav Gatha ko lekar Ek bahut purana Shahar Gorakhpur virajman hai jiski apni alag kahaniyan Hain apni Ek alag duniya Hai aur es Shahar mein Apne hi dhun mein ghoom Rahane wale Raghav, Pallavi, aur Srishti ki thoda aage chalte Hain 7 sal bad................... Kanpur Raat Ke 1:55 bahar barish ho rahi hai Raghav ki nind Achanak se khuli pasine Se bhiga Raghav khidki per jakar baith jata Hai Pani Ki bunde aur halki hawa Raghav ke sharir Ko chhu rahi thi lambi lambi sase lete hue Raghav ne apna Ek hath khidki Se bahar badhaya toh uske hatheli per barish Ki bunde girne lagi Raghav ne mutthi band ki aur dhire se bola 7 sal beet Gaye lekin Aaj bhi yah barish Mujhe Sone Nahin deti.......... Tabhi Achanak se piche se ek ladki Raghav ko bulate hue uske samne a jaati Hai are aap yahan kya kar rahe hain Aisa kahate hue usne Raghav Ka Dhyan toda Raghav_Kuchh Nahin Srishti Tum uth kyon gai Srishti_jiska pati kisi Baat se pareshan hun use nind kaise a sakti hai kya hua Raghav... Raghav bola Mujhe bol raha ki yad a gai Srishti ...... Yah sunte hi Srishti Ka chehra Sukh Gaya Jaise uske upar bijali gir gai Ho Achanak se kitchen mein Kuchh girta hai aur Raghav aur Srishti donon kitchen ki or chale jaate Hain kitchen mein jakar dekhte hain to vahan per Koi Nahin hota ....... Srishti aur Raghav Apne kamre mein jakar so jaate Hain agale subah Raghav ko jaldi office Jana tha to Srishti uske liye breakfast banaa Di Hai badhav nashta karta hai aur office ke liye nikal jata hai.......... Office mein kam jaldi khatm Ho jaane Ki vajah se Raghav jaldi Ghar Ke liye nikal jata hai aur jab vah Ghar pahunchta Hai To dekhta Hai uske ghar ka men gate khula hua Hai Raghav apni car ko parking mein lagata hai aur Srishti Srishti bolate hue Ghar Ke andar chala jata Hai dekho baby Aaj Main jaldi a Gaya use pure ghar mein Srishti kahin bhi Nahin milati....... Raghav sochta Hai Shayad vah roj office se 7:00 baje ke bad aata hai aur aaj vah 6:00 baje a Gaya aur Srishti Shayad market gai hogi lekin ek ghante intezar karne ke bad jab Srishti nahin aati to Raghav Srishti ko call karta hai aur uska call Nahin lagta pure ghar mein dobara Srishti ko dhundhne ke bad Raghav Apne pet dog Moti ko dhundhne lagta hai Moti ko dhundhte hue Raghav jab Apne terrace per jata Hai To vah vahan per Srishti ko dekh kar chauk jata hai dusri taraf munh karke Srishti niche ki taraf dekh rahi hoti hai Raghav piche se Srishti ko hug karta hai aur bolata hai baby main tumko kab se awaaz laga raha hun kya kar rahi ho tum upar .... Srishti bolati hai ki vah terrace per kapde sukhane I thi jabki terrace per koi bhi kapde Nahin the...... Raghav Srishti ka hath pakad kar niche le jata hai aur aur bolata hai baby Aaj Main jaldi a Gaya Hun To kyon Na bahar khane chalenge Srishti aur Raghav change karte hain aur bahar dinner ke liye chale jaate Hain der Raat jab Raghav aur Srishti dinner Se wapas aate Hain to direct bedroom mein sone ke liye chale jaate Hain....... Achanak se Kuchh tutne ki awaaz se Srishti aur Raghav ki nind der raat khulti hai aur yah awaaz kitchen ki taraf se I hoti hai pahli bar Raghav is awaaz ko najarandaz kar deta hai per dobara Kuchh tutne ki awaaz hone per Raghav aur Srishti jab kitchen mein jaate Hain To vahan per Koi Nahin hota jab vah niche dekhte hain to unka dog Moti hota..... Raghav bolata Hai are Srishti yah to Moti hai aur dobara sone ke liye chale jaate Hain subah uthkar Srishti Raghav ke liye nashta banati hai Naha kar fresh hokar breakfast karke Raghav office ke liye nikal jata hai ....... Lekin Srishti ka Ajeeb behaviour aur roj Raat kitchen mein Kuchh girne ki awaaz se Raghav ko thoda Ajeeb sa feel ho raha tha....... Raghavani socha Aaj kam jaldi khatm karke message ti ke pass jaunga aur usse yah sari baten share karunga per kam jyada hone ki vajah se Raghav ko let Ho jata Hai aur Raat Ke 9:00 baje jab Raghav office se Ghar pahunchta Hai To vah dobara dekhta hai ki uske ghar ka men gate khula hua Hai Raghav dobara pure ghar mein Srishti ko dhundhta hai aur Nahin milane per jab vah Apne terrace per jata Hai To vah dekhta Hai Srishti vahin per hai..... Vah Kai bar Srishti ko awaaz lagata Hai Srishti-Srishti-Srishti ....... Per Srishti koi reply nahin karti Achanak se rakho bolata hai dhimi awaaz mein Pallavi ........ Aur Srishti Raghav ki taraf mud jaati Hai......... Raghav darte hue Srishti ke pass jata hai to Srishti bolati Hai are Tum kab aaye Raghav puchta hai Srishti main tumhen tab Se awaaz de raha tha tumne Suna kyon Nahin.... Raghav ko ab Srishti ka behaviour thoda Nahin bahut Ajeeb lag raha tha...... Use Srishti Ki Aankhen Ajeeb si lag rahi thi...
.. aise hi chijen Ek hafte Tak chalti Hain...... Aur Raghav ko yah pata chalta Hai Ki Srishti pregnant hai ..... Raghav ko lagta hai ki yah Ajeeb behaviour pregnancy ki vajah se hai tabhi Raghav ki maa PremLata ka phone aata Hai Prema phone per kahati hai ki meri Bahu ko lekar Ghar per a jao main uska acche se Dhyan rakhungi 
....... Raghav ko lagta hai ki Shayad uski man Sahi bol rahi hai aur vah apne office se 1 hafte ki chhutti lekar Apne hometown apni biwi ke sath Gorakhpur ke liye nikal jata hai........ Raste mein Raghav lambi drive se thoda rest lene ke liye Lucknow naam ke Ek Shahar mein Ek dhabe per rukta hai Srishti kar se bahar aati hai aur Raghav aur Srishti dhabe ke bahar lagi tables per baith jaate chai pikar jab Raghav aur Srishti dobara gadi mein baithte hain carr mein baithte hi Raghav ko ek Ajeeb si khushbu mahsus hoti hai aur vah Srishti se kahta Hai tumhen yah khushbu yad hai ...... Jis per Srishti Raghav ki baat ka koi jawab Nahin deti Kuchh ghanto bad Raghav aur Srishti Gorakhpur pahunch jaate Hain ....... Shahar mein entry karte hue rapti Nadi Ke pul per se Srishti hath dikhate hue Raghav se kahati hai tumhen yad Hai yah muktipth Raghav sar jhukte hue halki si muskan ke sath kahta Hai han ........ Raghav ab apni Ghar Se jyada Dur nahin tha Ramgarh jhil ki laharon ko Raghav aise dekh raha tha jaise yah laharen use Kuchh yad dila rahi ho Apne Ghar Ke campus Mai car ko park karke Jaise hi Radha kar se utra usmein dekha. Chaukhat per Aarti ki thal lekar uski maa khadi hai........ Raghav bola ....mere swagat ke liye khadi Ho? Muskurate hue premlata kahati Hai Nahin apni Bahu ke swagat ke liye khadi hun ...... Srishti premlata yani Apne sas ke pair chhuti hai aur premlata use Apne gale Se Laga leti Hai premlata puchti Hai Moti ko lekar Nahin aaya tabhi Raghav car kar pichhla gate kholta hai aur Moti yani Raghav ka faltu kutta daudte hue premlata ke pairon ke passs jakar uske pair chatne lagta hai ......... Luggage lekar Raghav jab Ghar Ke andar jata hai to Deewar per tangi Ek photo Ko dekhkar udaas ho jata hai tabhi premlata uske kandhe per hath rakhti hai aur bolati hai main hun na aaj tere pitaji hote To vah bhi utna hi Khush hote jitni ki main hun Apne pote ya poti Ke intezar mein......... Raghav bolata Hai Srishti Tum thak gai hogi jakar upar room mein aaram karo ....... Premlata kitchen mein jakar Raghav aur Srishti ke liye chai banati hai...... Srishti bolati hai maa Mujhe aapke hath Ki chai bahut pasand hai aapko pata hai na.... Aur Mujhe chai ke sath pasand hai aapke hath ke tabhi premlata bolati Hai han pata hai mere hath ke papad are banaae Hain tere liye yeh le aur papad ki plate table per rakh deti Hai........... Tabhi Achanak Moti sidhiyon ki taraf dekhkar jor jor se bhaunkne lagta hai Raghav jakar Sidhi ki or dekhta hai to udaas ho jata hai aur Moti ko gale Laga leta hai darasal sidhiyon ke upar Pallavi ki ek photo lagi Hoti Hai jis per mala chhadi thi thodi der bad khana khakar Srishti aur premlata sone ke liye Apne Apne room mein chale jaate Hain..... Lekin Raghav Apne Ghar Ke loan mein baithkar laptop per Kuchh kam kar raha hota Hai tabhi Achanak se kitchen mein Kuchh girne ki awaaz aati Hai aur jab jab Raghav kitchen mein jakar dekhta Hai To vahan per koi bhi nahin rahata Moti bhi Nahin ....... Vah lawn main aata hai to dekhta Hai Moti so raha hai vah vahin per baithata hai aur chair per baithe hue Raghav ki aankh lag jaati Hai ....... Achanak barsat aane Ki vajah se uski aankh khulati Hai aur Raghav ko halki halki awaaz aati Hai Raghav Raghav Raghav Jaise koi Raghav ko bula raha ho yah awaaz Raghav ko Kuchh jaani pahchani sii lag rahi thi Raghav uthkar kamre mein jata Hai To vahan per Srishti Nahin Hoti wo Srishti ko pure ghar mein dhundhte hue piche garden mein pahunch jata hai aur dekhta Hai Ki barish ke bich diwal ki taraf chehra karke Srishti khadi hai vah bar bar bolata hai Srishti Srishti yahan kya kar rahi ho ..... Raghav thoda sa thaharte hue Ek kadam piche lekar Kuchh sochkar bola Pallavi Pallavi bolate hi Srishti jor se palti aur Srishti ke chehre per Ek halki si muskan a gai use muskan ko dekh kar Raghav dar Gaya...... Aur Srishti ka hath pakad Ke jhagjjodate hue bola hosh mein aao Srishti hosh mein aao ..... Aur Achanak se Srishti behosh ho gai apni God mein uthakar garden se Raghav Srishti ko room mein le aaya aur jab thodi der bad Srishti ko hosh aaya to usne Raghav Se poochho mere kapde Gile kaise ho gaye........ Yah sunte hi Raghav yah to samajh gaya ki pichhle Kuchh dinon Se Srishti ka jo Ajeeb behaviour Hai iske piche Koi To bahut bada reason hai usne bola Srishti tumhen pata hai Tum akele is barish mein niche garden mein jakar diwal ki taraf khadi hokar Kuchh To badbada Rahi thi aur jab Maine tumhen Bulaya to tumne Koi jawab nahin diya aur mere Pallavi kahane per tum mud gai...... Darte hue sahan gai uske chehre per Ek alag sa dar dikhai de raha tha uske Mathe per pasine ki bunde a gai uske honth Sukh Gaye aur usne Raghav ko jor se pakad kar bola to majak kar rahe ho na..... Raghavani ka Nahin... Srishti ko sulakar Raghav Pani peene ke liye jab kitchen mein Gaya to Achanak se jinki lights band Ho gai aur kisi ne bola rakho maine bola tha na main tumhen kabhi chhodkar Nahin jaaungi....... Raghav ke pair kapane Lage vah piche muda to vahan koi nahin tha usne Pani Piya aur jakar hall mein baith Gaya Raghav ke Mathe per pasine ki bunde use purana atit yad dila rahi thi use Achanak vah Sab Kuchh yad a Gaya uske chehre ke samne a Gaya to 7 sal pahle hua tha barish Ki bunde use vah Sab yad dila Rahi thi Jo 7 sal pahle hua tha use Pallavi yad a rahi thi uska pahla Pyar use Baar Baar Pallavi ka Hi chehra najar a raha tha yah Baat tab Ki Hai jab Raghav college mein padhta tha aur vah apne hometown Gorakhpur mein Hi rahata tha Pallavi bhi Gorakhpur ke Bagal ke hi Shahar Se thi college mein Pallavi aur Raghav hamesha jhagadate rahte opposite opinion opposite thinking Raghav Pallavi ko bilkul pasand Nahin Karta tha aur na hi Pallavi Raghav ko 2nd year mein unki mulakat dusre college se transfer lekar aai Srishti Se Hui Srishti Uttrakhand se thi vaise to Srishti Raghav ki dosti lekin uski Dosti Pallavi se bhi thi lekin Raghav aur Pallavi Ek dusre ko bilkul pasand Nahin karte the Ek din library mein book Lene Gaya Raghav to usne dekha ki library ki pichhle seat per baithi Pallavi ro Rahi hai use Pallavi Jara bhi Nahin Bhati thi fir bhi use uska Rona achcha Nahin lag raha tha Raghav ne jakar poochha kya hua Dushman RO kyon rahi hai Pallavi ne sar hilakar bola Kuchh Nahin
.. Raghav itna To samajh gaya tha ki koi baat hai use laga ki Pallavi ko periods aaye Hain isiliye vo jakar senatory pad lekar aata hai aur Pallavi ko deta hai Raghav bolata Hai le Dushman RO mat senatory pad dekhkar Pallavi hash padati Hai are budrudh koi ladki aur ro rahi hai iska matlab yah Nahin ki girls problem hai...... Darasal Mera nakhun Tut Gaya Raghav uska majak udate hue chudail Jaise nakhun rakhegi to tutenge hi achcha hua Tut Gaya....... Takrar mein Hi per ab Pallavi aur Raghav Ki Baat aage badhane lagi Raghav Har bar Pallavi ko chidhata aur Pallavi bhi Raghav ko donon Ek dusre ko Dushman kahkar bulate ab samay ke sath unki Dushmani dosti mein badalti ja rahi thi Ek din library Se nikalte hue jab Raghav niche aaya to usne dekha jordar barish ho rahi hai aur uski najar College campus ke ground mein gai aur vahin thahar gai Pallavi barish mein bheeg rahi thi uske chehre per barish Ki bunde dekhkar Ek alag si Khushi thi